Saturday, March 29, 2008

Khwaab
Khwaab to meine bahut sazaayein hai
Dekhna hai yeh zindagi mujhe haraati hai
ya meri dost ban ke mera saath deti hai

Wada hai yeh ki mein dil se kheloongi yeh baazi
har mushkil ko boojhongi jaise ho koi unsujzi paheli

Ab na jaaongi kisi mandir ya masjid kuch duva paane
meri jhooli mein woh hi bharna jis pe mera hak hai
chahe wo gam ho ya ho khushi
khaati hu kasm ab na karoongi koi sawaal ya shikwa
nat mastak ho ke sweekaroongi tumhara har faisla
par ek shart hai zindagi, tum bhi sachhe tareekein se khelna

Aaj kafn baad kar chali hu akele
Ya to apni manzil pe pahuchoongi apne shartoon pe
nahin to is khel is nikal jaaongi apni haar sweekarte huve
par yeh waada hai mera tum kabhie nahin paaonge mujhe
tumhare shartoon pe jeete huve

3 comments:

Jaya said...

Amazing post. Life is the greatest mystery and challenge of all. Hope/Wish/Pray you achieve what you want.

Bahut achcha likha hai.

Archana Bahuguna said...

I second Joy here and like to add:

"Aapki zindadili aur bekhauf andaaz dekhkar hum maat hue,
Zindagi ki ladhayi mein har kadam, hum bhi aapke saath hue".

Komila said...

Voila madame !!

"humein toh hak hai tha dua mangane ka,
so khuda se vada liya hai aapko khush rakhne ka."