TV ka swayamvar
Beena ne nishchay kiya ki woh apne ghar ka puraana EC TV badal ke naya TV khareedengi.
TV ab 15 saal ki ho gayi thi, par koi usse dekh kar uski umar ka pata nahin kar sakta tha, aaj bhi woh sabah se raat tak sabki ichhayein poori karti, subah maaji jo Aasha Ram babuji ke pravachan sunaati, phir beena ke sasur ko, saare desho ki khabaar alag alag channel pe baar baar sunaati, dophaar mein beena aur maaji ko soaps dekhaati, taaki woh apne poore din ki thakaan bhool sake, ya yeh serials dekh ke woh mehsoos kare ki hum kitne khush hai, shaam ko chintu ko pogo waale serials, shaam ko beena ke pati Ashok ko CNBC mein sensex ka haal baati aur phir raat ko saare K waale serials sabko dekhaati. Roz usse soone mein late ho jaata, par usse kabhie is baat ka shikwa nahin tha.
Uski dost bijli ko kabhie kabhie us pe taras aa jaata aur who chali jaati, taaki TV ko break mil sake. Jab TV ne suna ki beena naya TV laane ka soch rahi hai, to woh udaas ho gayi, usse laga ab mera kya hoga, kya mujhe yeh log bech denge ya kisi ko de denge? Uski bahut yaadein thi is ghar se, maano usse apne ghar se hi nikaalne ki saazish ho rahi thi.
Dheere Dheere yeh baat ki beena naya TV lene waali hai,poore mohalle mein fyle gayi.
Phir kya tha, puraane TV lene waalo ki line lag gayi, Doodh waale ne Doodh mein paani daalna kam kar diya, kaamwaali ne chutti lena band kar diya aur bartan aur man se dhoone lagi, post master bhi ghar pe taala hone par baar baar chakkar laga ke chitti ussi din de jaata.
Beena aur parivaar waalon ne tay kiya ki TV sahi umeedwar ko hi denge, jo sachha ho.
Sabko laga duniya mein bas sab matlabi hai, jaha faayda hai waha log achhe ban jaate hai...phir sabka dyaan rickshaw waale par gaya jo chintu ko roz school se laata tha.
Jisne kabhie kisi tyohaar par kuch nahin maanga, jo diya usme khush ho gaya.
Agle din jab rickshaw waale ne chintu ko aawaz di, beena ne usse aawaz diya aur bola bhaiya aap itwaar ko ghar aana, aapse kuch kaam hai.
Us itwaar ko, Beena ne TV ko achhe se pack kiya aur bola, tumhe aaj ek achhe insaan ke ghar jaana hai, hum sab ko tumhe bhejte huve dukh hai par aasha hai tum naye ghar mein wohi khushiyan doogi hai jo tumne hame diya hai. Yeh sun ke TV khush huvi, aur man mein boli, didi mein aapka bharosa kabhie nahin todoongi.
Rickshaw waale ne ghanti dabaayi, beena ne usse andhar bulaaya aur usse bithaake chai pilaaya aur usse bola bhaiya yeh box ghar le jaana. Rickshaw waalen ne poocha ki isme kya hai, beena muskoraayi aur boli, khol ke khud hi dekh lo. Rickshaw waale ne jab khola to dekha ki bakseh mein TV hai. Woh khush ho gaya aur uski aakhein num ho gayi aur woh khush hooke bola hamare poore mahaale mein kisi ke paas TV nahin hai, ab sab mil ke dekhenge. Dhanyawaad.
TV bhi yeh sun ke khush ho gayi ki woh ab bahut logo ko khush karne waali hai.
3 comments:
Bahut achcha hai. A different story from TV's point of view :) Title bhi sahi hai....
Fundoo and hilarious ... :-) "TV ke mann se" types :-)
'TV' ki jubaani...
Uski kahaani....
Very imaginative :)
Post a Comment