Paani
Paani ki tarah waqt ke har saache mein woh dhal gayi
Kabhie pateelein mein to kabhie chote se gilaas mein
kabhie usse laga hi nahin ki mere liye ek alag saacha hona chahiye
mein kisi bhi saache mein nahin daali ja sakti
Waqt ne jis haal rakha us haal mein mast maula ho gayi
kabhie pyaali se chalak jaane ki zid nahin ki
kabhie dukaan mein sazi alag alag pyaaliyon par uski nazar hi nahin gayi
uske liye har pyaala ek samaan tha
malik in jisme daala woh kubool
Yeh jaante huve bhi ki woh malik ki laadali thi
Aur usse hak tha zid karne ka
Peene waalo ne kaha bahut anand aur sukoon mila
Par usse pata nahin sukoon kise khete hai
Kaisa lagta hai usse paane par
logo ki tript aakhein dekh ke lagta usse
ki yeh ehsaas jananat se shayad kam nahin
Mujhe darr hai woh bas aise hi jiye jaayegi
kya usse koi milega jo usse sambhal ke ek sahi botal mein rakh sake
Jo uski har boond ki sahi kimat jaane
aur unhe yu hi nahin fuzul logo mein na batne de
Jin ke liye woh bas ek shaam ki pyaali hai
3 comments:
Waah! Kya shaayaraana andaaz hai ...khoobsoorat ...
(btw do you know you can type in hindi too here?)
Wow... beautiful........
Wow lovely lovely.
Lingerie Alley
Post a Comment